Kabhi kabhi Aditi zindagi mein yunhi koi apna lagta hai
Kabhi kabhi woh bichhad jaaye to ek sapna lagta hai
Aise mein koi kaise apne aansuon ko behne se roke?
Aur kaise koi soch le everything’s gonna be okay?
Kabhi kabhi to lage zindagi mein rahi na khushi aur na mazaa
Kabhi kabhi to lage har din mushkil aur har pal ek sazaa
Aise mein koi kaise muskuraaye kaise hans de khush hoke?
Aur kaise koi soch le everything’s gonna be okay?
Soch zara jaan-e-jaan tujhko humein kitna chahte hain
Rote hain hum bhi agar teri aankhon mein aansoo aate hain
Gaana to aata nahin hai magar phir bhi hum gaate hain
Hey, Aditi.. Maan kabhi kabhi saare jahaan mein andhera hota hai
Lekin raat ke baad hi to savera hota hai
Kabhi kabhi Aditi zindagi mein yunhi koi apna lagta hai
Kabhi kabhi woh bichhad jaaye to ek sapna lagta hai
Hey, Aditi.. hans de, hans de, hans de, hans de, hans de.. Hans de tu zara
Nahin to bas thoda, thoda, thoda, thoda, thoda.. Thoda muskura
Tu khush hai to lage ke jahan mein chhayee hai khushi
Sooraj nikle baadalon se aur baante zindagi
Sun to zara madhosh hawa tujhse kehne lagi
Ke Aditi woh jo bichhadte hain ek na ek din phir mil jaate hain
Aditi jaane tu ya jaane naa phool phir khil jaate hain
Kabhi kabhi Aditi zindagi mein yunhi koi apna lagta hai
Kabhi kabhi woh bichhad jaaye to ek sapna lagta hai
Hey, Aditi.. hans de, hans de, hans de, hans de, hans de.. Hans de tu zara..
Nahin to bas thoda, thoda, thoda, thoda, thoda.. Thoda muskura..
No comments:
Post a Comment